Follow Yaqub on Twitter

Monday 18 November 2013

Yusuf Uncle ki Kahani - Google Reunion

Aaj kal ek "Reunion Ad" ka bara charcha hai Facebook pe. Qoobay ne bhi jab dekha tou aankh bhhar aai.
On Vimeo

 Qooba ab sunaata hai Yusuf aur Mehra Uncle ki Un-Suni kahani:

Mehra Uncle ke abbu (Kumar sahab, because thats the most known Hindu name to Pakistanis), Partition ke waqt Lahore se Delhi agaye. Butt saab (Yusuf Uncle ke abbu) aur unki family ne baray khyaal aur ahtemaam ke saath Kumar sb ko rukhsat kya.

Kumar saab and family, migration ke dauraan. Tasveer mein Mehra Uncle bhi nazar arahay hain.


Kumar sb ke janay ke baad, Butt saab ne unkay ghar pe encroachment karli. Butt saab ne apnay naam ke agay 'Syed' laga lya. Ghar bara kar ke pehle 600 gaz ka kya, phir 3 stories bana ke, teen manzila karwa lya. Maashray mein unki bari izzat rahi.

Yusuf uncle ka poora naam Syed Yusuf Hussain Naqvi thha.

Lahore mein, Mehra Uncle ko itna khatra nahi tha, jitna khud Yusuf uncle ko tha. Isi liye jab unki phone pe baat hui, tou Mehra Uncle ne kaha: "Yaar Yusuf tu hee idher mujh se milnay aaja. Mein wahan aoonga, tou kahiin teray chakkar mein, Main bhi na maara jaoon"

Yusuf Uncle ne isi mein aafiat jaani aur packing ki tayari pakri. Abhi wo dukaan band kar hee rahay thhe, ke hijaab mein ek khatoon (Khadim-e-Aala ki dukhtar-e-aala) enter huiin aur kaha "MUJHE MITHAI CHAHIYE ABHI!!!", Yusuf uncle ke saath phir jo hua wo tareekh ka hissa hai. (Tareekh ke liye, neechay video pe click karein)

Jaisay taisay kar ke Yusuf uncle airport pohonch gaye.

Udher Delhi mein, raat ke waqt Suman (Mehra uncle ki poti, Mumbai wali), Yusuf uncle ko pick karnay airport jaa rahi hoti hain. Ye jantay huey ke Delhi 'Rape capital of the World' hai, itni raat ko akelay taxi mein safar karna Suman ki bahaduri aur Yusuf aur Mehra uncle se pyaar ki ek aala misaal hai. (Qoobay ko afsos hai ke video mein iss pehlu ko ujaagar nahi kya gya). Taxi wala hanky panky karnay ki koshish karta hai lekin Suman ka apnay daaday se pyaar dekh kar, uska zehen palat jaata hai aur wo ek acha insaan ban jaata hai. Wo qasam khata hai ke ab se wo aurto ki izzat karega.



Yusuf Uncle bilaakhir visa police reporting kartay karaatay, Mehra uncle ke ghar pohonch jatay hain.

Mehra Uncle: "Oye YUSUF!!!" "Oye Yusuf, teri aankhein, ro ro ke, meri judaai mein sooji hui hain?!?!"  :'(
(Ab Yusuf Uncle kya bataatay ke aankhein tou Daughter-e-Aala ki waja se sooji hui hain)

Wo abhi baat karna chaah hee rahay hotay hain ke peechay se Maya Khan nikal ke aati hain:

Maye Khan: "YUSUF NAHI UNCLE! MAYA! Chalein aap bhi Sunil ki tarah meray saath saath parhein 'La ilaha, Ill Allah ho.....'



Mehra Uncle aur Yusuf Uncle, bari mushkilo se, kisi tarah Maya ko Suman aur Chashmay walay boy ki date ki taraf divert kartay hain aur khud wahan se cut ke Baarish enjoy kartay hain.



(THE END)



1 comment:

  1. So I saw that video so I could enjoy this post properly.

    Unlike the video, this ends too quickly!!! Picture mei jaisi hi Maya Khan ki entry hui tou climax aa gaya. Also, best part tou pictures hain. Wanted to see more of these. But another lovely post Qoobay!

    ReplyDelete