Follow Yaqub on Twitter

Friday 29 March 2013

Safar Ab Jitna Baaqi hai - Parveen Shakir


Boht sardi he --- mamma
abhi kuch dayr
mera hath mat chhore(n)!

zmastaa(n) ki hawa se kapkapaata
mere seene se lga
tu keh raha tha!

ziyada din nahi guzre
k meri goad ki garmi
tujhe aaraam deti thi
galay me mere, baahe(n) daal kr tu is tarha sota
k aksar sari sari raat meri
aik karwat me guzar jati !

mere daaman ko pakre
ghar me titlee ki trah se ghoomta rehta
magar phir jald hi tujh ko
parindo(n) or phoolo(n)
or phir ham-jholiyo(n) k paas se aesa bulaava aagaya
jis ko paa kar
meri ungli chura kr
tu hujoom-e-rang me khushbu ki surat mil gaya tha
phir is k baad khaabo(n) se bhara bastaa liye
school ki janib rawaana ho gaya tu
jahan phir rang or phir hafr or phir hindse
or so tarha k khel tere muntazir the
dil lubhaate the
tere ustaad mujh se moa'tabar the
dost mujh se khoob-tar the
mujhe maloom he
me tujh se peeche reh gaii hun
safar ab jitna baqi he
wo bas paspaaii ka hi reh gaya he
teri dunya me ab har pal
naye logon ki aamad he
me be-had khaamushi se
unki jaghe(n) khaali karte jaa rahi hun
tera chehra nikharta ja raha he
me pas-manzar me hoti jaa rahi hun

ziyada din na guzre(n) ge
mere haatho(n) ki ye dheemi haraarat
tujhe kafi nahi hogi
koi khush-lams dast-e-yaasmee(n) aa kar
gulaabi rang hiddat
tere haatho(n) me samo dega
mera dil tujh ko kho de ga
me baaqi umr
tera raasta takti rahun gi
me maa(n) hun
or meri qismat judaai he

(Parveen shakir)

No comments:

Post a Comment